Tuesday 15 December 2015

Movie Preview: Chakor gives preview of Sanjay Leela Bhansali's Bajirao Mastani

(We have invited Chakor who is also very close to movie director Sanjay Leela Bhansali since his child hood. He took most of his teachings from Chakor.)

Ee aisan hi kuch dhaai hazaar saal pehele ki baat hum kare honge. Hamaar potee Leela hamaar paas aakai hamaar godi main ek nanha jachcha bachcha diye rahai.
Uu bachcha total hi alag tha. Jaisen Chanakya ko bachpan me daat aaye gawa the waisen hi ee bachcha ka muh pura dadhi muccho se bhare huye tha.
Jaisan hi uu bachche ko humne godi mein uthaye wo hamaar sachool ka uniform dekh ke "beelu-beelu" chillana chalu kiya, tabhaise hamebhi pata chala ki ee badmash bada hokar hamaar naam roshan karaiga.Aaj bhi humka yaad rahai rahe ki uu din Sunday tha aur eesi waaste humne uu bachche ka naam Sanjaywa rakha.Tabaise hum Sanju baba ko apne godi me khilaye rahai hai.

Sanju baba kabhai bhi sachool nahi gaya. Uu toh kauno aur gola se padh likhke aaye rahai. Aaj eesi hamaar shishya ki filam ka bislesanwa karne me humka bahutan hi proudwa sa feel huye rahai hai. 
Ab hum uu ka nayi mubie 'Bajirao Mastani' ke baare me baat karat hai
Movie Preview of Bajirao Mastani
v  Sanjaywa hamesha se hi hum ka sabai se pahele uu ki har koi mubie dikhawat rahe hai aur agar hum naahi haa bolat rahe to uu kisi aur ko bhi dikhawat nahi hai. Uu ki ee Bajirao Mastani toh humka Saabaria se bhi jyaada pasand aaye rahe. Lekin humka ek cheejan ke bare me samajh na aawat hai, Sanju hamesha hamaar gola ke logan waaste mubie banaawat rahai hai toh kaa ee correct hoga ka ki hum apne ne perspectibe se ee mubie ka prebiew denge?
v  Toh ee mubie ko Sanju baba ne kuch dui hazaar saal pehele likha rahe aur uu ke hisaab se pehele ee mubie ki kauno ajeeb se gola ki bhasha me serial bhi banawat rahe hai. Kauno ajeeb si Marathi bhasha rahe hai. Uu serial wa ee mubie ki copy rahe hai. Aap ko andar ki baat batawat hai ki ee Bajirao aur Mastani bhi ee gola pe teen sau-chaar sau saal pehele Sanju baba se pehele puch ke aaye rahe hai.
v  Toh ee mubie me eek saath do lub story chalte rahat hai. Eek lub story dibaar ki hot hai jisme eek dibaar ko dusre dibaar se pyaar hot hai aur unka beech me tisri dibaar aat rahe. To peheli dibaar dono dibaar se shaadi karat rahe hai aur un tin dibaaro me se do dibaare girat rahe hai aur tisri dibaar jinda rahat hai.  Sabai dibaare mast dikhat hai, sabka upar Sanju babane chudiya aur gehene pehenaaye hai.
v  Dusri lub story teen insaano ki hot hai jiska dekhna kauno jaroorat ka kaam naahi hai. Humka laagat rahe ki mubie me logan ki jaroorat hi naahi thi. Uu serial me to kauno dibaare nahi thi, uu me to logan hi logan the isiliye uu serial flopwa huyi gayi. Lekin hiya apna sasura Sanju baba ne dibaaro se acting karwayi rahi aur logan to aisan hi hiya uha ghumat rahe. Sanju baba ne to humka promise kiye hai agle time wo dibaar ko hi lega aur logan ko naahi.
v  Baaki ee mubie me kuch aur log bhi kaam karat hai, jaisen Bajirao, Mastani aur Kashibai. Lekin humka uu dibaar waale gaane me (Deewani Mastani) toh Bajirao ke peeche waali dibaar ki acting bahutan hi pasand aayi rahi. Uu ka colour bhi sabhai ke colourwa se mel khaat raha tha. Uu Mastani toh itna dibaar se mel khat rahe thi ki hum kuch der ke baaste confusewa gaye the ki ee sasur ki naati dibaar to nahi. Uu gaane me humka ekai hi defectwa mila, Bajirao jauno kursi pe baithat hai uu me se ek kursi ka pair ke neechle tale me eek taraf se eek chota shisha gaayab huye rahai. Humne Sanju baba ko uu defectwa bataaye diya aur sasure ne humka promise bhi kiye rahai ki agli baar wo thik waali kursi mangayega dusre waale gola se.
v  Baaki to jyaada humka baat naahi karne ko milegi. Bhaiyaaji hamaar khilaf saajish kare hai ki hum school jaaye lekin hume to aur hi kaamo me ras rahe hai (conspiracies, time pass, bitching and gossiping). Ee mubie se pehele toh ka do chashme pehen ne padenge. Eek me se logan dikhenge aur eek me se dibaare. Eek special chashma bhi pehene rehena padega kyoki uu Mastani aisan kaahe waste dekhat hai ye pata karne ke liye.

No comments:

Post a Comment